Woh Mulaqat Lyrics – Madhur Sharma

Written by LyricsWin

Published on:

Woh Mulaqat Lyrics – Madhur Sharma recorded and released the Hindi song under his label. Chirag Soni produced the music, and Vishal Pande wrote the lyrics to “Woh Mulaqat”. The video for the new track was directed by Rajeev Thakur and stars Arushi Vashisht and Madhur Sharma.

Woh Mulaqat Song Details:

Label:Madhur Sharma
Singer(s):Madhur Sharma
Lyricist(s):Vishal Pande
Composer(s):Chirag Soni
Music Director(s):Chirag Soni
Genre(s):Sad
Music Label:© Madhur Sharma
Starring:Arushi Vashisht, Madhur Sharma

Woh Mulaqat Lyrics – Madhur Sharma

Ab Na Khushi Hai Na Koi Wajah Jo Khush Rahe Hum
Ab Wo Judaa Hain Toh Phir Kisey Ye Sab Kahe Hum
Rishte Jo The Sabhi Wo Bhi Toh Ab Hogaye Khatam
Tanha Bhala Yahan Na Jaane Ab Kaise Rahe Hum

Ghum Mein Doobe Huye Bas Yahi Sochte
Kaash Ye Hua Na Hota
Yun Khud Hi Ko Har Pal Hum Hai Koste
Kaash Ye Hua Na Hota

Woh Mulaqat Aakhri Thi Ye Pata Agar Hota Toh
Milne Hi Tujhe Aate Na Aur Dil Aise Na Rota Toh
Woh Mulaqat Aakhri Thi Ye Pata Agar Hota Toh
Milne Hi Tujhe Aate Na Aur Dil Aise Na Rota Toh

Kaise Ye Pal De Diye Zindagi
Chaha Jo Woh Toh Mila Hi Nahin
Rone Se Ab Jo Humein Rokle
Saathi Kahin Bhi Mila Nahin

Phirne Lage Hum Sadko Pe Roothke
Kaash Ye Hua Na Hota
Yun Khud Hi Ko Har Pal Hum Bas Koste
Kaash Ye Hua Na Hota

Woh Mulaqat Aakhri Thi Ye Pata Agar Hota Toh
Milne Hi Tumhe Aate Na Aur Dil Aise Na Rota Toh
Woh Mulaqat Aakhri Thi Ye Pata Agar Hota Toh
Milne Hi Tumhe Aate Na Aur Dil Aise Na Rota Toh

Leave a Comment